Ø Kuch Bhi Naa Mumkin Nahi
Hum sirf apne bachon ko achi taleeem dilwaaane ke qaayel hain jab keh dooosre hamare laakhon ropey le kar apne taleeemi adaaron ko mazbooot banaate jaa rahe hain aur hamare schoool aur colleges musalmaano ki tarah hi bad haaal hain. Zra sochiye ke agar aap jo raqam geron ke adaare ko faraaaham karte hain aur apne bache ko achi taleeem dilwaana chahte hain agar wohi raqam hamare adaaron par kharch karte hue in adaaron me achi facilities provide karne ka moqah dete hain to kitna bara kaaam hoga. Haan agar ye naa mumkin hain to dooosra raasta ye hai ke Qom ke Umraah, Daanishwar aur in par mushtamil aik aisa edaaara bnaya jaye jahan par behter taleeem ka nizaaam ho. Aaala taleeem ki sahooolat ho, Doosre log hamare adaaaron me daakhla lene ke liye laakhon kharch karen aur in Laakhon ropayon se Qom ke zarooorat mand bachon ko achi taleem di jaa sake. Aisa ho sakta hai aur aisa hua bi hai. Hum ye na sochen ke hamare yahan mutahid ho kar kaaam karne walon ki kami hai, Hum ye na sochen ke ye Mansooba kamyaab nahi hoga, humein ye bi nahi sochna chahiye ke hamare laakhon ke ropayon ke sarmaaye se dooosron ko kyun faida pohnchaayen. Is tarah ke taleeemi adaaaron ke Kayaaam se na sirf dooosron ka faida hoga balke apna bi faida hai, hamari aane wali naslon ka faida hai, hamari pooori qom ka faida hai.
Hamari zindagi kitne saaal ki hogi? 50 saal, 60 saal ya zyada se zyada 100 saal. Agar is 100 saaalon me hum log faida nahi haasil kar sakte to aane wale 100 saalon me to hamare bache faida haasil kar saken ge, Hum rahen ya na rahen lekin hamare qaim karda edaaare to baaki rahen ge, Agar Sir Syed Ahmad Khan ne sirf apne faidey ke liye kaaam kiya hota to aaj Ali Garh Muslim University ka wajoood na hota, Jab kam wasaayel aur kam waqt me in Azeeem logon ne itne bare taleemi edaaare qaim karne mein kamyaabi haasil ki hai to aaj ke is jadeeed dor me technology aur wasaayel ke hone par bhi hum kyun nahi aise edaaare qaim kar sakt?.
1897 mein Angrez Officer William Hitter ne Bar-e Sageeer hind mein musalmaano ki taleemi halaat par apna jo jaaiza pesh kiya tha us mein us ne kaha tha ke musalmaan Qom doosri taraki yaafta Qomon (Barhaman) se taleeemi medaaan me peeeche hai, Jab ye baat Qaid-e Qom Sir Syed Ahmad Khan tak pohnchi to unhon ne musalmaano ke taleeemi halaaat sudhaarne ke liye Ali Garh Muslim University ko qaim karne ke liye Ekdaaamaat uthaye, is doraaan unhon ne jo mehnat ki thi, Jo Ilzaaam jheeeley thay aur jo Badnaami uthaayi thi wo aaj bhi tareeekh ke safhaaat par roshin hain, Lekin in tamam masaayel ke bawajoood Ali Garh Muslim University ne jo kaarnaama pichle aik century se anjaaam diya hai wo aane wale Waqton me bhi Qaabil-e Sataayesh hi rahe ga. Hamara wajood hamari khoshishon aur soch se hi behtar ho sake ga aur is soch ko rakhne wale aik ya do afraad nahi hain balke aise hazaaron hain. Agar ye hazaaron log aik jaga jama ho jaayen to kuch bi naa mumkin nahi hain.
Musalmaano ko Barhaman se kam tar kaha gya tha lekin aaj musalmaano ko aur bi bad tar haalat mein hone ki baat waazeh ho gayi hai. Agar hum is ke bawajoood bhi haath par haath dhare baithe rehte hain to ye Qom Muslim ke zawaal ki alaaamat hai. Qom mein aise kayi log hain jo apna paisa kaar-e khair mein lagana chahte hain, Kayi log hian jo Qom ko apna waqt dena chahte hain aur kayi aise log hain jo apne Nazriyaat ko waseeh rakhte hue Bina kisi Taasub, Ekhtelaaf aur Groh Banki ke kaaam karna chahte hain, Agar ye tamam mil jaayen to na humein hakooomton se bheeek ki zarooorat pare gi. Is liye hamara man'na ye hai ke aise log ekatha ho jaayen jo Musalmaano ke liye mazeed Universities, taleeemi edaaare aur Research Center Qaaayem karen jo hamari naslon ke liye taleemi Kaarkhaane bane, aur wahan se hamare No Jawaaan taleem yaaafta aur Khud'daar Qom ki shakal mein Baahir Niklein. Bus khudi ko buland karne ki Zaroorat hai........







0 comments:
Post a Comment